Hui Hai Sham To Aankhon Mein Bas Gaya Phir Tu

hui hai sham to aankhon mein bas gaya phir tu

kahan gaya hai mere shahr ke musafir tu

meri misal ki ek naKHl-e-KHushk-e-sahra hun

tera KHayal ki shaKH-e-chaman ka tair tu

main jaanta hun ki duniya tujhe badal degi

main manta hun ki aisa nahin ba-zahir tu

hansi-KHushi se bichhaD ja agar bichhaDna hai

ye har maqam pe kya sochta hai aaKHir tu

faza udas hai rut muzmahil hai main chup hun

jo ho sake to chala aa kisi ki KHatir tu

'faraaz' tu ne use mushkilon mein Dal diya

zamana sahab-e-zar aur sirf shaer tu

(3046) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hui Hai Sham To Aankhon Mein Bas Gaya Phir Tu In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Hui Hai Sham To Aankhon Mein Bas Gaya Phir Tu is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Hui Hai Sham To Aankhon Mein Bas Gaya Phir Tu for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Hui Hai Sham To Aankhon Mein Bas Gaya Phir Tu in PDF.