Hum Bhi Shaer The Kabhi Jaan-e-suKHan Yaad Nahin

hum bhi shaer the kabhi jaan-e-suKHan yaad nahin

tujh ko bhule hain to dil-dari-e-fan yaad nahin

dil se kal mahw-e-takallum the to malum hua

koi kakul koi lab koi dahan yaad nahin

aql ke shahr mein aaya hai to yun gum hai junun

lab-e-goya ko bhi be-saKHta-pan yaad nahin

awwal awwal to na the waqif-e-adab-e-qafas

aur ab rasm-o-rah-e-ahl-e-chaman yaad nahin

har koi nawak o tarkash ki dukan puchhta hai

kisi gahak ko magar apna badan yaad nahin

waqt kis dasht-e-faramoshi mein le aaya hai

ab tera nam bhi KHakam-ba-dahan yaad nahin

ye bhi kya kam hai gharib-ul-watani mein ki 'faraaz'

hum ko be-mehri-e-arbab-e-watan yaad nahin

(2647) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Bhi Shaer The Kabhi Jaan-e-suKHan Yaad Nahin In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Hum Bhi Shaer The Kabhi Jaan-e-suKHan Yaad Nahin is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Hum Bhi Shaer The Kabhi Jaan-e-suKHan Yaad Nahin for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Hum Bhi Shaer The Kabhi Jaan-e-suKHan Yaad Nahin in PDF.