Hum To KHush The Ki Chalo Dil Ka Junun Kuchh Kam Hai

hum to KHush the ki chalo dil ka junun kuchh kam hai

ab jo aaram bahut hai to sukun kuchh kam hai

rang-e-girya ne dikhai nahin agli si bahaar

ab ke lagta hai ki aamezish-e-KHun kuchh kam hai

ab tera hijr musalsal hai to ye bhed khula

gham-e-dil se gham-e-duniya ka fusun kuchh kam hai

us ne dukh sare zamane ka mujhe baKHsh diya

phir bhi lalach ka taqaza hai kahun kuchh kam hai

rah-e-dunya se nahin dil ki guzargah se aa

fasla garche ziyaada hai pe yun kuchh kam hai

tu ne dekha hi nahin mujh ko bhale waqton mein

ye KHarabi ki main jis haal mein hun kuchh kam hai

aag hi aag mere qarya-e-tan mein hai 'faraaz'

phir bhi lagta hai abhi soz-e-darun kuchh kam hai

(2400) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum To KHush The Ki Chalo Dil Ka Junun Kuchh Kam Hai In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Hum To KHush The Ki Chalo Dil Ka Junun Kuchh Kam Hai is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Hum To KHush The Ki Chalo Dil Ka Junun Kuchh Kam Hai for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Hum To KHush The Ki Chalo Dil Ka Junun Kuchh Kam Hai in PDF.