Is Qadar Musalsal Thin Shiddaten Judai Ki

is qadar musalsal thin shiddaten judai ki

aaj pahli bar us se main ne bewafai ki

warna ab talak yun tha KHwahishon ki barish mein

ya to TuT kar roya ya ghazal-sarai ki

taj diya tha kal jin ko hum ne teri chahat mein

aaj un se majburan taza aashnai ki

ho chala tha jab mujh ko iKHtilaf apne se

tu ne kis ghaDi zalim meri ham-nawai ki

tark kar chuke qasid ku-e-na-muradan ko

kaun ab KHabar lawe shahr-e-ashnai ki

tanz o tana o tohmat sab hunar hain naseh ke

aap se koi puchhe hum ne kya burai ki

phir qafas mein shor uTTha qaidiyon ka aur sayyaad

dekhna uDa dega phir KHabar rihai ki

dukh hua jab us dar par kal 'faraaz' ko dekha

lakh aib the us mein KHu na thi gadai ki

(3273) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Qadar Musalsal Thin Shiddaten Judai Ki In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Is Qadar Musalsal Thin Shiddaten Judai Ki is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Is Qadar Musalsal Thin Shiddaten Judai Ki for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Is Qadar Musalsal Thin Shiddaten Judai Ki in PDF.