Is Se Pahle Ki Be-wafa Ho Jaen

is se pahle ki be-wafa ho jaen

kyun na ai dost hum juda ho jaen

tu bhi hire se ban gaya patthar

hum bhi kal jaane kya se kya ho jaen

tu ki yakta tha be-shumar hua

hum bhi TuTen to ja-ba-ja ho jaen

hum bhi majburiyon ka uzr karen

phir kahin aur mubtala ho jaen

hum agar manzilen na ban pae

manzilon tak ka rasta ho jaen

der se soch mein hain parwane

rakh ho jaen ya hawa ho jaen

ishq bhi khel hai nasibon ka

KHak ho jaen kimiya ho jaen

ab ke gar tu mile to hum tujh se

aise lipTen teri qaba ho jaen

bandagi hum ne chhoD di hai 'faraaz'

kya karen log jab KHuda ho jaen

(9322) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Se Pahle Ki Be-wafa Ho Jaen In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Is Se Pahle Ki Be-wafa Ho Jaen is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Is Se Pahle Ki Be-wafa Ho Jaen for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Is Se Pahle Ki Be-wafa Ho Jaen in PDF.