Ishq Nashsha Hai Na Jadu Jo Utar Bhi Jae

ishq nashsha hai na jadu jo utar bhi jae

ye to ek sail-e-bala hai so guzar bhi jae

talKHi-e-kaam-o-dahan kab se azab-e-jaan hai

ab to ye zahr rag o pai mein utar bhi jae

ab ke jis dasht-e-tamanna mein qadam rakkha hai

dil to kya chiz hai imkan hai ki sar bhi jae

hum bagulon ki tarah KHak-basar phirte hain

panw shal hon to ye aashob-e-safar bhi jae

luT chuke ishq mein ek bar to phir ishq karo

kis ko malum ki taqdir sanwar bhi jae

shahr-e-jaanan se pare bhi kai duniyaen hain

hai koi aisa musafir jo udhar bhi jae

is qadar qurb ke baad aise juda ho jaana

koi kam-hausla insan ho to mar bhi jae

ek muddat se muqaddar hai gharib-ul-watani

koi pardes mein na-KHush ho to ghar bhi jae

(2318) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Nashsha Hai Na Jadu Jo Utar Bhi Jae In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Ishq Nashsha Hai Na Jadu Jo Utar Bhi Jae is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Ishq Nashsha Hai Na Jadu Jo Utar Bhi Jae for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Ishq Nashsha Hai Na Jadu Jo Utar Bhi Jae in PDF.