Jab Har Ek Shahr Balaon Ka Thikana Ban Jae

jab har ek shahr balaon ka Thikana ban jae

kya KHabar kaun kahan kis ka nishana ban jae

ishq KHud apne raqibon ko baham karta hai

hum jise pyar karen jaan-e-zamana ban jae

itni shiddat se na mil tu ki judai chahen

yahi qurbat teri duri ka bahana ban jae

jo ghazal aaj tere hijr mein likkhi hai wo kal

kya KHabar ahl-e-mohabbat ka tarana ban jae

karta rahta hun faraham main zar-e-zaKHm ki yun

shayad aainda zamanon ka KHazana ban jae

is se baDh kar koi inam-e-hunar kya hai 'faraaz'

apne hi ahd mein ek shaKHs fasana ban jae

(2005) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Har Ek Shahr Balaon Ka Thikana Ban Jae In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Jab Har Ek Shahr Balaon Ka Thikana Ban Jae is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Jab Har Ek Shahr Balaon Ka Thikana Ban Jae for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Jab Har Ek Shahr Balaon Ka Thikana Ban Jae in PDF.