Jism Shoala Hai Jabhi Jama-e-sada Pahna

jism shoala hai jabhi jama-e-sada pahna

mere suraj ne bhi baadal ka labaada pahna

silwaTen hain mere chehre pe to hairat kyun hai

zindagi ne mujhe kuchh tum se ziyaada pahna

KHwahishen yun hi barahna hon to jal-bujhti hain

apni chahat ko kabhi koi irada pahna

yar KHush hain ki unhen jama-e-ehram mila

log hanste hain ki qamat se ziyaada pahna

yar-e-paiman-shikan aae agar ab ke to use

koi zanjir-e-wafa ai shab-e-wada pahna

ghairat-e-ishq to mane thi magar main ne 'faraaz'

dost ka tauq sar-e-mahfil-e-ada pahna

(2348) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jism Shoala Hai Jabhi Jama-e-sada Pahna In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Jism Shoala Hai Jabhi Jama-e-sada Pahna is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Jism Shoala Hai Jabhi Jama-e-sada Pahna for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Jism Shoala Hai Jabhi Jama-e-sada Pahna in PDF.