Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Jaane Mere

juz tere koi bhi din raat na jaane mere

tu kahan hai magar ai dost purane mere

tu bhi KHushbu hai magar mera tajassus bekar

barg-e-awara ki manind Thikane mere

shama ki lau thi ki wo tu tha magar hijr ki raat

der tak rota raha koi sirhane mere

KHalq ki be-KHabari hai ki meri ruswai

log mujh ko hi sunate hain fasane mere

luT ke bhi KHush hun ki ashkon se bhara hai daman

dekh ghaarat-gar-e-dil ye bhi KHazane mere

aaj ek aur baras bit gaya us ke baghair

jis ke hote hue hote the zamane mere

kash tu bhi meri aawaz kahin sunta ho

phir pukara hai tujhe dil ki sada ne mere

kash tu bhi kabhi aa jae masihai ko

log aate hain bahut dil ko dukhane mere

kash auron ki tarah main bhi kabhi kah sakta

baat sun li hai meri aaj KHuda ne mere

tu hai kis haal mein ai zud-faramosh mere

mujh ko to chhin liya ahd-e-wafa ne mere

chaaragar yun to bahut hain magar ai jaan-e-'faraaz'

juz tere aur koi zaKHm na jaane mere

(3537) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Jaane Mere In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Jaane Mere is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Jaane Mere for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Jaane Mere in PDF.