Kashida Sar Se Tawaqqo Abas Jhukaw Ki Thi

kashida sar se tawaqqo abas jhukaw ki thi

bigaD gaya hun ki surat yahi banaw ki thi

wo jis ghamanD se bichhDa gila to is ka hai

ki sari baat mohabbat mein rakh-rakhaw ki thi

wo mujh se pyar na karta to aur kya karta

ki dushmani mein bhi shiddat isi lagaw ki thi

magar ye dard-e-talab bhi sarab hi nikla

wafa ki lahr bhi jazbaat ke bahaw ki thi

akele par utar kar ye naKHuda ne kaha

musafiro yahi qismat shikasta naw ki thi

charagh-e-jaan ko kahan tak bacha ke hum rakhte

hawa bhi tez thi manzil bhi chal-chalaw ki thi

main zindagi se nabard-azma raha hun 'faraaz'

main jaanta tha yahi rah ek bachaw ki thi

(2070) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kashida Sar Se Tawaqqo Abas Jhukaw Ki Thi In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Kashida Sar Se Tawaqqo Abas Jhukaw Ki Thi is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Kashida Sar Se Tawaqqo Abas Jhukaw Ki Thi for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Kashida Sar Se Tawaqqo Abas Jhukaw Ki Thi in PDF.