Karun Na Yaad Magar Kis Tarah Bhulaun Use

karun na yaad magar kis tarah bhulaun use

ghazal bahana karun aur gungunaun use

wo KHar KHar hai shaKH-e-gulab ki manind

main zaKHm zaKHm hun phir bhi gale lagaun use

ye log tazkire karte hain apne logon ke

main kaise baat karun ab kahan se laun use

magar wo zud-faramosh zud-ranj bhi hai

ki ruTh jae agar yaad kuchh dilaun use

wahi jo daulat-e-dil hai wahi jo rahat-e-jaan

tumhaari baat pe ai naseho ganwaun use

jo ham-safar sar-e-manzil bichhaD raha hai 'faraaz'

ajab nahin hai agar yaad bhi na aaun use

(3176) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Karun Na Yaad Magar Kis Tarah Bhulaun Use In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Karun Na Yaad Magar Kis Tarah Bhulaun Use is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Karun Na Yaad Magar Kis Tarah Bhulaun Use for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Karun Na Yaad Magar Kis Tarah Bhulaun Use in PDF.