Kal Humne Bazm-e-yar Mein Kya Kya Sharab Pi

kal hum ne bazm-e-yar mein kya kya sharab pi

sahra ki tishnagi thi so dariya sharab pi

apnon ne taj diya hai to ghairon mein ja ke baiTh

ai KHanuman-KHarab na tanha sharab pi

tu ham-safar nahin hai to kya sair-e-gulistan

to ham-subu nahin hai to phir kya sharab pi

ai dil-girafta-e-gham-e-jaanan subu uTha

ai kushta-e-jafa-e-zamana sharab pi

ek mehrban buzurg ne ye mashwara diya

dukh ka koi ilaj nahin ja sharab pi

baadal garaj raha tha idhar mohtasib udhar

phir jab talak ye uqda na suljha sharab pi

ai tu ki tere dar pe hain rindon ke jamghaTe

ek roz us faqir ke ghar aa sharab pi

do jam un ke nam bhi ai pir-e-mai-kada

jin raftagan ke sath hamesha sharab pi

kal hum se apna yar KHafa ho gaya 'faraaz'

shayad ki hum ne had se ziyaada sharab pi

(3050) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kal Humne Bazm-e-yar Mein Kya Kya Sharab Pi In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Kal Humne Bazm-e-yar Mein Kya Kya Sharab Pi is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Kal Humne Bazm-e-yar Mein Kya Kya Sharab Pi for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Kal Humne Bazm-e-yar Mein Kya Kya Sharab Pi in PDF.