Main To Maqtal Mein Bhi Qismat Ka Sikandar Nikla

main to maqtal mein bhi qismat ka sikandar nikla

qura-e-fal mere nam ka aksar nikla

tha jinhen zoam wo dariya bhi mujhi mein Dube

main ki sahra nazar aata tha samundar nikla

main ne us jaan-e-bahaaran ko bahut yaad kiya

jab koi phul meri shaKH-e-hunar par nikla

shahr-walon ki mohabbat ka main qael hun magar

main ne jis hath ko chuma wahi KHanjar nikla

tu yahin haar gaya hai mere buzdil dushman

mujh se tanha ke muqabil tera lashkar nikla

main ki sahra-e-mohabbat ka musafir tha 'faraaz'

ek jhonka tha ki KHushbu ke safar par nikla

(6681) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main To Maqtal Mein Bhi Qismat Ka Sikandar Nikla In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Main To Maqtal Mein Bhi Qismat Ka Sikandar Nikla is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Main To Maqtal Mein Bhi Qismat Ka Sikandar Nikla for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Main To Maqtal Mein Bhi Qismat Ka Sikandar Nikla in PDF.