Mustaqil Mahrumiyon Par Bhi To Dil Mana Nahin

mustaqil mahrumiyon par bhi to dil mana nahin

lakh samjhaya ki is mahfil mein ab jaana nahin

KHud-farebi hi sahi kya kijiye dil ka ilaj

tu nazar phere to hum samjhen ki pahchana nahin

ek duniya muntazir hai aur teri bazm mein

is tarah baiThe hain hum jaise kahin jaana nahin

ji mein jo aati hai kar guzro kahin aisa na ho

kal pasheman hon ki kyun dil ka kaha mana nahin

zindagi par is se baDh kar tanz kya hoga 'faraaz'

us ka ye kahna ki tu shaer hai diwana nahin

(2839) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mustaqil Mahrumiyon Par Bhi To Dil Mana Nahin In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Mustaqil Mahrumiyon Par Bhi To Dil Mana Nahin is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Mustaqil Mahrumiyon Par Bhi To Dil Mana Nahin for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Mustaqil Mahrumiyon Par Bhi To Dil Mana Nahin in PDF.