Muntazir Kab Se Tahayyur Hai Teri Taqrir Ka

muntazir kab se tahayyur hai teri taqrir ka

baat kar tujh par guman hone laga taswir ka

raat kya soe ki baqi umr ki nind uD gai

KHwab kya dekha ki dhaDka lag gaya tabir ka

kaise paya tha tujhe phir kis tarah khoya tujhe

mujh sa munkir bhi to qael ho gaya taqdir ka

jis tarah baadal ka saya pyas bhaDkata rahe

main ne ye aalam bhi dekha hai teri taswir ka

jaane kis aalam mein tu bichhDa ki hai tere baghair

aaj tak har naqsh fariyaadi meri tahrir ka

ishq mein sar phoDna bhi kya ki ye be-mehr log

ju-e-KHun ko nam de dete hain ju-e-shir ka

jis ko bhi chaha use shiddat se chaha hai 'faraaz'

silsila TuTa nahin hai dard ki zanjir ka

(3381) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Muntazir Kab Se Tahayyur Hai Teri Taqrir Ka In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Muntazir Kab Se Tahayyur Hai Teri Taqrir Ka is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Muntazir Kab Se Tahayyur Hai Teri Taqrir Ka for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Muntazir Kab Se Tahayyur Hai Teri Taqrir Ka in PDF.