Mizaj Humse Ziyaada Juda Na Tha Us Ka

mizaj hum se ziyaada juda na tha us ka

jab apne taur yahi the to kya gila us ka

wo apne zoam mein tha be-KHabar raha mujh se

use guman bhi nahin main nahin raha us ka

wo barq-rau tha magar wo gaya kahan jaane

ab intizar karenge shikasta-pa us ka

chalo ye sail-e-bala-KHez hi bane apna

safina us ka KHuda us ka naKHuda us ka

ye ahl-e-dard bhi kis ki duhai dete hain

wo chup bhi ho to zamana hai ham-nawa us ka

hamin ne tark-e-talluq mein pahl ki ki 'faraaz'

wo chahta tha magar hausla na tha us ka

(3590) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mizaj Humse Ziyaada Juda Na Tha Us Ka In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Mizaj Humse Ziyaada Juda Na Tha Us Ka is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Mizaj Humse Ziyaada Juda Na Tha Us Ka for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Mizaj Humse Ziyaada Juda Na Tha Us Ka in PDF.