Na Sah Saka Jab Masafaton Ke Azab Sare

na sah saka jab masafaton ke azab sare

to kar gae kuch meri aankhon se KHwab sare

bayaz-e-dil par ghazal ki surat raqam kiye hain

tere karam bhi tere sitam bhi hisab sare

bahaar aai hai tum bhi aao idhar se guzro

ki dekhna chahte hain tum ko gulab sare

ye saneha hai ki waizon se ulajh paDe hum

ye waqia hai ki pi rahe the sharab sare

bhala hua hum gunahgaron ne zid nahin ki

sameT kar le gaya hai naseh sawab sare

'faraaz' kis ne mere muqaddar mein likh diye hain

bas ek dariya ki dosti mein sarab sare

(2439) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Sah Saka Jab Masafaton Ke Azab Sare In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Na Sah Saka Jab Masafaton Ke Azab Sare is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Na Sah Saka Jab Masafaton Ke Azab Sare for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Na Sah Saka Jab Masafaton Ke Azab Sare in PDF.