Na Tera Qurb Na Baada Hai Kya Kiya Jae

na tera qurb na baada hai kya kiya jae

phir aaj dukh bhi ziyaada hai kya kiya jae

hamein bhi arz-e-tamanna ka Dhab nahin aata

mizaj-e-yar bhi sada hai kya kiya jae

kuchh apne dost bhi tarkash-ba-dosh phirte hain

kuchh apna dil bhi kushada hai kya kiya jae

wo mehrban hai magar dil ki hirs bhi kam ho

talab karam se ziyaada hai kya kiya jae

na us se tark-e-talluq ki baat kar paen

na hamdami ka irada hai kya kiya jae

suluk-e-yar se dil Dubne laga hai 'faraaz'

magar ye mahfil-e-ada hai kya kiya jae

(2823) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Tera Qurb Na Baada Hai Kya Kiya Jae In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Na Tera Qurb Na Baada Hai Kya Kiya Jae is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Na Tera Qurb Na Baada Hai Kya Kiya Jae for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Na Tera Qurb Na Baada Hai Kya Kiya Jae in PDF.