Nahin Ki Nama-baron Ko Talash Karte Hain

nahin ki nama-baron ko talash karte hain

hum apne be-KHabron ko talash karte hain

mohabbaton ka bhi mausam hai jab guzar jae

sab apne apne gharon ko talash karte hain

suna hai kal jinhen dastar-e-iftiKHar mili

wo aaj apne saron ko talash karte hain

ye ishq kya hai ki izhaar-e-arzu ke liye

harif nauhagaron ko talash karte hain

ye hum jo DhunDte phirte hain qatl-gahon ko

dar-asl chaaragaron ko talash karte hain

riha hue pa ajab haal hai asiron ka

ki ab wo apne paron ko talash karte hain

'faraaz' dad ke qabil hai justuju un ki

jo hum se dar-badaron ko talash karte hain

(1662) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nahin Ki Nama-baron Ko Talash Karte Hain In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Nahin Ki Nama-baron Ko Talash Karte Hain is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Nahin Ki Nama-baron Ko Talash Karte Hain for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Nahin Ki Nama-baron Ko Talash Karte Hain in PDF.