Nauhagaron Mein Dida-e-tar Bhi Usi Ka Tha

nauhagaron mein dida-e-tar bhi usi ka tha

mujh par ye zulm bar-e-digar bhi usi ka tha

dekha mujhe to tark-e-talluq ke bawajud

wo muskura diya ye hunar bhi usi ka tha

aankhen kushad-o-bast se badnam ho gain

suraj usi ka KHwab-e-sahar bhi usi ka tha

KHanjar-dar-astin hi mila jab kabhi mila

wo tegh khinchta to ye sar bhi usi ka tha

nishtar chubhe hue the rag-e-jaan ke aas-pas

wo chaaragar tha aur mujhe Dar bhi usi ka tha

mahfil mein kal 'faraaz' hi shayad tha lab-kusha

maqtal mein aaj kasa-e-sar bhi usi ka tha

(4302) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nauhagaron Mein Dida-e-tar Bhi Usi Ka Tha In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Nauhagaron Mein Dida-e-tar Bhi Usi Ka Tha is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Nauhagaron Mein Dida-e-tar Bhi Usi Ka Tha for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Nauhagaron Mein Dida-e-tar Bhi Usi Ka Tha in PDF.