Nazar Bujhi To Karishme Bhi Roz-o-shab Ke Gae

nazar bujhi to karishme bhi roz-o-shab ke gae

ki ab talak nahin aae hain log jab ke gae

karega kaun teri bewafaiyon ka gila

yahi hai rasm-e-zamana to hum bhi ab ke gae

magar kisi ne hamein ham-safar nahin jaana

ye aur baat ki hum sath sath sab ke gae

ab aae ho to yahan kya hai dekhne ke liye

ye shahr kab se hai viran wo log kab ke gae

girafta-dil the magar hausla na haara tha

girafta-dil mein magar hausle bhi ab ke gae

tum apni sham-e-tamanna ko ro rahe ho 'faraaz'

in aandhiyon mein to pyare charagh sab ke gae

(3527) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Bujhi To Karishme Bhi Roz-o-shab Ke Gae In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Nazar Bujhi To Karishme Bhi Roz-o-shab Ke Gae is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Nazar Bujhi To Karishme Bhi Roz-o-shab Ke Gae for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Nazar Bujhi To Karishme Bhi Roz-o-shab Ke Gae in PDF.