Sab Qarine Usi Dildar Ke Rakh Dete Hain

sab qarine usi dildar ke rakh dete hain

hum ghazal mein bhi hunar yar ke rakh dete hain

shayad aa jaen kabhi chashm-e-KHaridar mein hum

jaan o dil bich mein bazar ke rakh dete hain

taki tana na mile hum ko tunuk-zarfi ka

hum qadah samne aghyar ke rakh dete hain

ab kise ranj-e-asiri ki qafas mein sayyaad

sare manzar gul-o-gulzar ke rakh dete hain

zikr-e-jaanan mein ye duniya ko kahan le aae

log kyun masale bekar ke rakh dete hain

waqt wo rang dikhata hai ki ahl-e-dil bhi

taq-e-nisyan pe suKHan yar ke rakh dete hain

zindagi teri amanat hai magar kya kije

log ye bojh bhi thak-haar ke rakh dete hain

hum to chahat mein bhi 'ghaalib' ke muqallid hain 'faraaz'

jis pe marte hain use mar ke rakh dete hain

(2537) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sab Qarine Usi Dildar Ke Rakh Dete Hain In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Sab Qarine Usi Dildar Ke Rakh Dete Hain is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Sab Qarine Usi Dildar Ke Rakh Dete Hain for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Sab Qarine Usi Dildar Ke Rakh Dete Hain in PDF.