Su-e-falak Na Jaanib-e-mahtab Dekhna

su-e-falak na jaanib-e-mahtab dekhna

is shahr-e-dil-nawaz ke aadab dekhna

tujh ko kahan chhupaen ki dil par giraft ho

aankhon ko kya karen ki wahi KHwab dekhna

wo mauj-e-KHun uThi hai ki diwar-o-dar kahan

ab ke fasil-e-shahr ko gharqab dekhna

in suraton ko tarsegi chashm-e-jahan ki aaj

kamyab hain to kal hamein nayab dekhna

phir KHun-e-KHalq o gardan-e-mina bachaiyo

par chal paDa hai zikr-e-mai-e-nab dekhna

aabaad ku-e-chaak-e-gareban jo phir hua

dast-e-raqib o daman-e-ahbab dekhna

hum le to aae hain tujhe ek be-dili ke sath

is anjuman mein ai dil-e-betab dekhna

had chahiye 'faraaz' wafa mein bhi aur tumhein

gham dekhna na dil ki tab-o-tab dekhna

(2920) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Su-e-falak Na Jaanib-e-mahtab Dekhna In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Su-e-falak Na Jaanib-e-mahtab Dekhna is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Su-e-falak Na Jaanib-e-mahtab Dekhna for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Su-e-falak Na Jaanib-e-mahtab Dekhna in PDF.