Sukut-e-sham-e-KHizan Hai Qarib Aa Jao

sukut-e-sham-e-KHizan hai qarib aa jao

baDa udas saman hai qarib aa jao

na tum ko KHud pe bharosa na hum ko zom-e-wafa

na e'tibar-e-jahan hai qarib aa jao

rah-e-talab mein kisi ko kisi ka dhyan nahin

hujum-e-ham-safaran hai qarib aa jao

jo dasht-e-ishq mein bichhDe wo umr bhar na mile

yahan dhuan hi dhuan hai qarib aa jao

ye aandhiyan hain to shahr-e-wafa ki KHair nahin

zamana KHak-fishan hai qarib aa jao

faqih-e-shahr ki majlis nahin ki dur raho

ye bazm-e-pir-e-mughan hai qarib aa jao

'faraaz' dur ke suraj ghurub samjhe gae

ye daur-e-kam-nazaran hai qarib aa jao

(2475) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sukut-e-sham-e-KHizan Hai Qarib Aa Jao In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Sukut-e-sham-e-KHizan Hai Qarib Aa Jao is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Sukut-e-sham-e-KHizan Hai Qarib Aa Jao for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Sukut-e-sham-e-KHizan Hai Qarib Aa Jao in PDF.