Taras Raha Hun Magar Tu Nazar Na Aa Mujhko

taras raha hun magar tu nazar na aa mujh ko

ki KHud juda hai tu mujh se na kar juda mujh ko

wo kapkapate hue honT mere shane par

wo KHwab sanp ki manind Das gaya mujh ko

chaTaKH uTha ho sulagti chaTan ki surat

pukar ab tu mere der-ashna mujh ko

tujhe tarash ke main saKHt munfail hun ki log

tujhe sanam to samajhne lage KHuda mujh ko

ye aur baat ki aksar damak uTha chehra

kabhi kabhi yahi shoala bujha gaya mujh ko

ye qurbaten hi to wajh-e-firaq Thahri hain

bahut aziz hain yaran-e-be-wafa mujh ko

sitam to ye hai ki zalim suKHan-shanas nahin

wo ek shaKHs ki shaer bana gaya mujh ko

use 'faraaz' agar dukh na tha bichhaDne ka

to kyun wo dur talak dekhta raha mujh ko

(3600) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Taras Raha Hun Magar Tu Nazar Na Aa Mujhko In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Taras Raha Hun Magar Tu Nazar Na Aa Mujhko is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Taras Raha Hun Magar Tu Nazar Na Aa Mujhko for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Taras Raha Hun Magar Tu Nazar Na Aa Mujhko in PDF.