Tera Qurb Tha Ki Firaq Tha Wahi Teri Jalwagari Rahi

tera qurb tha ki firaq tha wahi teri jalwagari rahi

ki jo raushni tere jism ki thi mere badan mein bhari rahi

tere shahr mein main chala tha jab to koi bhi sath na tha mere

to main kis se mahw-e-kalam tha to ye kis ki ham-safari rahi

mujhe apne aap pe man tha ki na jab talak tera dhyan tha

tu misal thi meri aagahi tu kamal-e-be-KHabari rahi

mere aashna bhi ajib the na rafiq the na raqib the

mujhe jaan se dard aziz tha unhen fikr-e-chaaragari rahi

main ye jaanta tha mera hunar hai shikast-o-reKHt se mo'tabar

jahan log sang-ba-dast the wahin meri shishagari rahi

jahan nasehon ka hujum tha wahin aashiqon ki bhi dhum thi

jahan baKHiya-gar the gali gali wahin rasm-e-jama-dari rahi

tere pas aa ke bhi jaane kyun meri tishnagi mein hiras tha

ba-misal-e-chashm-e-ghazal jo lab-e-abju bhi Dari rahi

jo hawas farosh the shahr ke sabhi mal bech ke ja chuke

magar ek jins-e-wafa meri sar-e-rah dhari ki dhari rahi

mere naqidon ne faraaz jab mera harf harf parakh liya

to kaha ki ahd-e-riya mein bhi jo baat khari thi khari rahi

(2104) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tera Qurb Tha Ki Firaq Tha Wahi Teri Jalwagari Rahi In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Tera Qurb Tha Ki Firaq Tha Wahi Teri Jalwagari Rahi is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Tera Qurb Tha Ki Firaq Tha Wahi Teri Jalwagari Rahi for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Tera Qurb Tha Ki Firaq Tha Wahi Teri Jalwagari Rahi in PDF.