Tere Hote Hue Mahfil Mein Jalate Hain Charagh

tere hote hue mahfil mein jalate hain charagh

log kya sada hain suraj ko dikhate hain charagh

apni mahrumi ke ehsas se sharminda hain

KHud nahin rakhte to auron ke bujhate hain charagh

bastiyan dur hui jati hain rafta rafta

dam-ba-dam aankhon se chhupte chale jate hain charagh

kya KHabar un ko ki daman bhi bhaDak uThte hain

jo zamane ki hawaon se bachate hain charagh

go siyah-baKHt hain hum log pe raushan hai zamir

KHud andhere mein hain duniya ko dikhate hain charagh

bastiyan chand sitaron ki basane walo

kurra-e-arz pe bujhte chale jate hain charagh

aise bedard hue hum bhi ki ab gulshan par

barq girti hai to zindan mein jalate hain charagh

aisi tarikiyan aankhon mein basi hain ki 'faraaz'

raat to raat hai hum din ko jalate hain charagh

(4572) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Hote Hue Mahfil Mein Jalate Hain Charagh In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Tere Hote Hue Mahfil Mein Jalate Hain Charagh is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Tere Hote Hue Mahfil Mein Jalate Hain Charagh for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Tere Hote Hue Mahfil Mein Jalate Hain Charagh in PDF.