Tujhse Mil Kar To Ye Lagta Hai Ki Ai Ajnabi Dost

tujh se mil kar to ye lagta hai ki ai ajnabi dost

tu meri pahli mohabbat thi meri aaKHiri dost

log har baat ka afsana bana dete hain

ye to duniya hai meri jaan kai dushman kai dost

tere qamat se bhi lipTi hai amar-bel koi

meri chahat ko bhi duniya ki nazar kha gai dost

yaad aai hai to phir TuT ke yaad aai hai

koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost

ab bhi aae ho to ehsan tumhaara lekin

wo qayamat jo guzarni thi guzar bhi gai dost

tere lahje ki thakan mein tera dil shamil hai

aisa lagta hai judai ki ghaDi aa gai dost

barish-e-sang ka mausam hai mere shahr mein to

tu ye shishe sa badan le ke kahan aa gai dost

main use ahd-shikan kaise samajh lun jis ne

aaKHiri KHat mein ye likkha tha faqat aap ki dost

(4617) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tujhse Mil Kar To Ye Lagta Hai Ki Ai Ajnabi Dost In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Tujhse Mil Kar To Ye Lagta Hai Ki Ai Ajnabi Dost is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Tujhse Mil Kar To Ye Lagta Hai Ki Ai Ajnabi Dost for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Tujhse Mil Kar To Ye Lagta Hai Ki Ai Ajnabi Dost in PDF.