Us Ka Apna Hi Karishma Hai Fusun Hai Yun Hai

us ka apna hi karishma hai fusun hai yun hai

yun to kahne ko sabhi kahte hain yun hai yun hai

jaise koi dar-e-dil par ho sitada kab se

ek saya na darun hai na barun hai yun hai

tum ne dekhi hi nahin dasht-e-wafa ki taswir

nok-e-har-KHar pe ek qatra-e-KHun hai yun hai

tum mohabbat mein kahan sud-o-ziyan le aae

ishq ka nam KHirad hai na junun hai yun hai

ab tum aae ho meri jaan tamasha karne

ab to dariya mein talatum na sukun hai yun hai

naseha tujh ko KHabar kya ki mohabbat kya hai

roz aa jata hai samjhata hai yun hai yun hai

shairi taza zamanon ki hai meamar 'faraaz'

ye bhi ek silsila-e-kun-fayakun hai yun hai

(3412) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us Ka Apna Hi Karishma Hai Fusun Hai Yun Hai In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Us Ka Apna Hi Karishma Hai Fusun Hai Yun Hai is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Us Ka Apna Hi Karishma Hai Fusun Hai Yun Hai for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Us Ka Apna Hi Karishma Hai Fusun Hai Yun Hai in PDF.