Us Manzar-e-sada Mein Kai Jal Bandhe The

us manzar-e-sada mein kai jal bandhe the

jab us ka gareban khula baal bandhe the

ai zud-faramosh kahan tu hai ki tujh se

mere to shab-o-roz mah-o-sal bandhe the

wo rashk-e-ghazalan tha magar dam mein us ke

hum jaise kai said-e-zabun-haal bandhe the

dekhe koi naseh ki jo haalat hai ki hum to

us but ki mohabbat mein bahar-haal bandhe the

sayyaad ko phir bhi meri parwaz ka Dar tha

main garche qafas mein tha par-o-baal bandhe the

yun dil tah-o-baala kabhi hote nahin dekhe

ek shaKHs ke panw se to bhaunchaal bandhe the

waqt aaya to main maqtal-e-jaan mein tha akela

yaron ki girah mein faqat aqwal bandhe the

(1881) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us Manzar-e-sada Mein Kai Jal Bandhe The In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Us Manzar-e-sada Mein Kai Jal Bandhe The is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Us Manzar-e-sada Mein Kai Jal Bandhe The for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Us Manzar-e-sada Mein Kai Jal Bandhe The in PDF.