Usko Juda Hue Bhi Zamana Bahut Hua

us ko juda hue bhi zamana bahut hua

ab kya kahen ye qissa purana bahut hua

Dhalti na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaq

ai marg-e-na-gahan tera aana bahut hua

hum KHuld se nikal to gae hain par ai KHuda

itne se waqiye ka fasana bahut hua

ab hum hain aur sare zamane ki dushmani

us se zara sa rabt baDhana bahut hua

ab kyun na zindagi pe mohabbat ko war den

is aashiqi mein jaan se jaana bahut hua

ab tak to dil ka dil se taaruf na ho saka

mana ki us se milna milana bahut hua

kya kya na hum KHarab hue hain magar ye dil

ai yaad-e-yar tera Thikana bahut hua

kahta tha nasehon se mere munh na aaiyo

phir kya tha ek hu ka bahana bahut hua

lo phir tere labon pe usi bewafa ka zikr

ahmad-'faraaz' tujh se kaha na bahut hua

(3512) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Usko Juda Hue Bhi Zamana Bahut Hua In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Usko Juda Hue Bhi Zamana Bahut Hua is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Usko Juda Hue Bhi Zamana Bahut Hua for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Usko Juda Hue Bhi Zamana Bahut Hua in PDF.