Usne Sukut-e-shab Mein Bhi Apna Payam Rakh Diya

us ne sukut-e-shab mein bhi apna payam rakh diya

hijr ki raat baam par mah-e-tamam rakh diya

aamad-e-dost ki nawed ku-e-wafa mein aam thi

main ne bhi ek charagh sa dil sar-e-sham rakh diya

shiddat-e-tishnagi mein bhi ghairat-e-mai-kashi rahi

us ne jo pher li nazar main ne bhi jam rakh diya

us ne nazar nazar mein hi aise bhale suKHan kahe

main ne to us ke panw mein sara kalam rakh diya

dekho ye mere KHwab the dekho ye mere zaKHm hain

main ne to sab hisab-e-jaan bar-sar-e-am rakh diya

ab ke bahaar ne bhi kin aisi shararten ki bas

kabk-e-dari ki chaal mein tera KHiram rakh diya

jo bhi mila usi ka dil halqa-ba-gosh-e-yar tha

us ne to sare shahr ko kar ke ghulam rakh diya

aur 'faraaz' chahiyen kitni mohabbaten tujhe

maon ne tere nam par bachchon ka nam rakh diya

(4626) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Usne Sukut-e-shab Mein Bhi Apna Payam Rakh Diya In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Usne Sukut-e-shab Mein Bhi Apna Payam Rakh Diya is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Usne Sukut-e-shab Mein Bhi Apna Payam Rakh Diya for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Usne Sukut-e-shab Mein Bhi Apna Payam Rakh Diya in PDF.