Wafa Ke Bab Mein Ilzam-e-ashiqi Na Liya

wafa ke bab mein ilzam-e-ashiqi na liya

ki teri baat ki aur tera nam bhi na liya

KHusha wo log ki mahrum-e-iltifat rahe

tere karam ko ba-andaz-e-sadgi na liya

tumhaare baad kai hath dil ki samt baDhe

hazar shukr gareban ko hum ne si na liya

tamam masti o tishna-labi ke hangame

kisi ne sang uThaya kisi ne mina liya

'faraaz' zulm hai itni KHud-e'timadi bhi

ki raat bhi thi andheri charagh bhi na liya

(3193) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wafa Ke Bab Mein Ilzam-e-ashiqi Na Liya In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Wafa Ke Bab Mein Ilzam-e-ashiqi Na Liya is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Wafa Ke Bab Mein Ilzam-e-ashiqi Na Liya for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Wafa Ke Bab Mein Ilzam-e-ashiqi Na Liya in PDF.