Wo Dushman-e-jaan Jaan Se Pyara Bhi Kabhi Tha

wo dushman-e-jaan jaan se pyara bhi kabhi tha

ab kis se kahen koi hamara bhi kabhi tha

utra hai rag-o-pai mein to dil kaT sa gaya hai

ye zahr-e-judai ki gawara bhi kabhi tha

har dost jahan abr-e-gurezan ki tarah hai

ye shahr kabhi shahr hamara bhi kabhi tha

titli ke taaqub mein koi phul sa bachcha

aisa hi koi KHwab hamara bhi kabhi tha

ab agle zamane ke milen log to puchhen

jo haal hamara hai tumhaara bhi kabhi tha

har bazm mein hum ne use afsurda hi dekha

kahte hain 'faraaz' anjuman-ara bhi kabhi tha

(3884) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Dushman-e-jaan Jaan Se Pyara Bhi Kabhi Tha In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Wo Dushman-e-jaan Jaan Se Pyara Bhi Kabhi Tha is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Wo Dushman-e-jaan Jaan Se Pyara Bhi Kabhi Tha for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Wo Dushman-e-jaan Jaan Se Pyara Bhi Kabhi Tha in PDF.