Kar Gae Kuch Kahan

itni muddat dil-e-awara kahan tha ki tujhe

apne hi ghar ke dar-o-baam bhula baiThe hain

yaad yaron ne to kab harf-e-mohabbat rakkha

ghair bhi tana o dushnam bhula baiThe hain

to samajhta tha ki ye dar-badari ka aalam

dur deson ki inayat tha so ab KHatm hua

tu ne jaana tha ki aashufta-sari ka mausam

dasht-e-ghurbat ki wadiat tha so ab KHatm hua

ab jo tu shahr-e-nigaran mein qadam rakkhega

har taraf khilte chale jaenge chehron ke gulab

dost-ahbab tere nam ke Takraenge jam

ghair-aghyar chukaenge raqabat ke hisab

jab bhi gaegi koi ghairat-e-nahid ghazal

sab ko aaega nazar shoala-e-awaz mein tu

jab bhi saqi ne surahi ko diya izn-e-KHiram

bazm ki bazm pukaregi ki aaghaz mein tu

maen rakkhengi tere nam pe aulad ka nam

bap beTon ke liye teri bayazen lenge

jin pe qadghan hai wo ashaar paDhegi KHilqat

aur TuTe hue dil tujh ko salami denge

log ulfat ke khilaune liye bachchon ki tarah

kal ke ruThe hue yaron ko mana laenge

lafz ko bechne wale nae bazaron mein

ghairat harf ko late hue sharmaenge

lekin aisa nahin aisa nahin ai dil ai dil

ye tera des ye tere dar-o-diwar nahin

itne yusuf to na the misr ke bazar mein bhi

jins is darja hai wafir ki KHaridar nahin

sar kisi ka bhi dikhai nahin deta hai yahan

jism hi jism hain dastaren hi dastaren hain

tu kisi qarya-e-zindan mein hai shayad ki jahan

tauq hi tauq hain diwaren hi diwaren hain

ab na tiflan ko KHabar hai kisi diwane ki

aur na aawaz ki o chaak gareban wale

na kisi hath mein patthar na kisi hath mein phul

kar gae kuch kahan kucha-e-jaanan wale

(2859) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kar Gae Kuch Kahan In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Kar Gae Kuch Kahan is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Kar Gae Kuch Kahan for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Kar Gae Kuch Kahan in PDF.