KHwabon Ke Byopari

hum KHwabon ke byopari the

par is mein hua nuqsan baDa

kuchh baKHt mein Dheron kalak thi

kuchh ab ke ghazab ka kal paDa

hum rakh liye hain jholi mein

aur sar pe hai sahukar khaDa

yan bund nahin hai Dewe mein

wo baj-byaj ki baat kare

hum banjh zamin ko takte hain

wo Dhor anaj ki baat kare

hum kuchh din ki mohlat mangen

wo aaj hi aaj ki baat kare

jab dharti sahra sahra thi

hum dariya dariya roe the

jab hath ki rekhaen chup thin

aur sur sangit mein soe the

tab hum ne jiwan-kheti mein

kuchh KHwab anokhe boe the

kuchh KHwab sajal muskanon ke

kuchh bol kabat diwanon ke

kuchh lafz jinhen mani na mile

kuchh git shikasta-jaanon ke

kuchh nir wafa ki shamon ke

kuchh par pagal parwanon ke

par apni ghayal aankhon se

KHush ho ke lahu chhiDkaya tha

maTi mein mas ki khad bhari

aur nas nas ko zaKHamaya tha

aur bhul gae pichhli rut mein

kya khoya tha kya paya tha

har bar gagan ne wahm diya

ab ke barkha jab aaegi

har bij se konpal phuTegi

aur har konpal phal laegi

sar par chhaya chhatri hogi

aur dhup ghaTa ban jaegi

jab fasl kaTi to kya dekha

kuchh dard ke TuTe gajre the

kuchh zaKHmi KHwab the kanTon par

kuchh KHakistar se kajre the

aur dur ufuq ke sagar mein

kuchh Dolte Dubte bajre the

ab panw khaDaun dhul-bhari

aur jism pe jog ka chola hai

sab sangi sathi bhed-bhare

koi masa hai koi tola hai

is tak mein ye is ghat mein wo

har or Thagon ka Tola hai

ab ghaT na ghar dahliz na dar

ab pas raha hai kya baba

bas tan ki gaThri baqi hai

ja ye bhi tu le ja baba

hum basti chhoDe jate hain

tu apna qarz chuka baba

(3005) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwabon Ke Byopari In English By Famous Poet Ahmad Faraz. KHwabon Ke Byopari is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem KHwabon Ke Byopari for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download KHwabon Ke Byopari in PDF.