Main Aur Tu

roz jab dhup pahaDon se utarne lagti

koi ghaTta hua baDhta hua bekal saya

ek diwar se kahta ki mere sath chalo

aur zanjir-e-rifaqat se gurezan diwar

apne pindar ke nashshe mein sada istada

KHwahish-e-hamdam-e-derina pe hans deti thi

kaun diwar kisi sae ke ham-rah chali

kaun diwar hamesha magar istada rahi

waqt diwar ka sathi hai na sae ka rafiq

aur ab sang-o-gil-o-KHisht ke malbe ke tale

usi diwar ka pindar hai reza reza

dhup nikli hai magar jaane kahan hai saya

(3562) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Aur Tu In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Main Aur Tu is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Main Aur Tu for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Main Aur Tu in PDF.