Mujhse Pahle

mujh se pahle tujhe jis shaKHs ne chaha us ne

shayad ab bhi tera gham dil se laga rakkha ho

ek be-nam si ummid pe ab bhi shayad

apne KHwabon ke jaziron ko saja rakkha ho

main ne mana ki wo begana-e-paiman-e-wafa

kho chuka hai jo kisi aur ki ranai mein

shayad ab lauT ke aae na teri mahfil mein

aur koi dukh na rulae tujhe tanhai mein

main ne mana ki shab o roz ke hangamon mein

waqt har gham ko bhula deta hai rafta rafta

chahe ummid ki shamen hon ki yaadon ke charagh

mustaqil boad bujha deta hai rafta rafta

phir bhi mazi ka KHayal aata hai gahe-gahe

muddaten dard ki lau kam to nahin kar saktin

zaKHm bhar jaen magar dagh to rah jata hai

duriyon se kabhi yaaden to nahin mar saktin

ye bhi mumkin hai ki ek din wo pashiman ho kar

tere pas aae zamane se kinara kar le

tu ki masum bhi hai zud-faramosh bhi hai

us ki paiman-shikani ko bhi gawara kar le

aur main jis ne tujhe apna masiha samjha

ek zaKHm aur bhi pahle ki tarah sah jaun

jis pe pahle bhi kai ahd-e-wafa TuTe hain

isi do-rahe pe chup-chap khaDa rah jaun

(7598) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhse Pahle In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Mujhse Pahle is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Mujhse Pahle for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Mujhse Pahle in PDF.