Din Se BichhDi Hui Baraat Liye Phirti Hai

din se bichhDi hui baraat liye phirti hai

chand taron ko kahan raat liye phirti hai

ye kahin us ke mazalim ka mudawa hi na ho

ye jo patton ko hawa sath liye phirti hai

chalte chalte hi sahi baat to kar li jae

hum ko duniya mein yahi baat liye phirti hai

lamha lamha teri furqat mein pighalti hui umr

garmi-e-shauq-e-mulaqat liye phirti hai

warna hum shahr-e-gul-azar mein kab aate the

ye to hum ko bhari-barsat liye phirti hai

jis taraf se main guzarta bhi nahin tha pahle

ab wahin gardish-e-haalat liye phirti hai

(748) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Din Se BichhDi Hui Baraat Liye Phirti Hai In English By Famous Poet Ahmad Fareed. Din Se BichhDi Hui Baraat Liye Phirti Hai is written by Ahmad Fareed. Read famous Poem Din Se BichhDi Hui Baraat Liye Phirti Hai for youth and Student by Ahmad Fareed. Free Download Din Se BichhDi Hui Baraat Liye Phirti Hai in PDF.