Kuchh Usko Yaad Karun Us Ka Intizar Karun

kuchh us ko yaad karun us ka intizar karun

bahut sukut hai main KHud ko be-qarar karun

bharun main rang nae muzmahil tamanna mein

udas raat ko aasuda-e-bahaar karun

kuchh aur chah baDhaun kuchh aur dard sahun

jo mujh se dur hai yun us ko ham-kanar karun

wafa ke nam pe kya kya jafaen hoti rahin

main har libas-e-jafa aaj tar tar karun

wo meri rah mein kanTe bichhae main lekin

usi ko pyar karun us pe e'tibar karun

ye mere KHwab meri zindagi ka sarmaya

na kyun ye KHwab bhi main aaj nazr-e-yar karun

(958) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Usko Yaad Karun Us Ka Intizar Karun In English By Famous Poet Ahmad Hamdani. Kuchh Usko Yaad Karun Us Ka Intizar Karun is written by Ahmad Hamdani. Read famous Poem Kuchh Usko Yaad Karun Us Ka Intizar Karun for youth and Student by Ahmad Hamdani. Free Download Kuchh Usko Yaad Karun Us Ka Intizar Karun in PDF.