Lamha Lamha Kah Rahi Hain Kuchh Fazaen Aag Ki

lamha lamha kah rahi hain kuchh fazaen aag ki

zarra zarra aa rahi hain kya sadaen aag ki

KHushk peDon ke labon par kya duaen hain suno

chha rahi hain har taraf dekho ghaTaen aag ki

kucha-o-bazar bhi diwar-o-dar bhi aag hain

ek ishaara sa hai faslen lahlahaen aag ki

aag ki lahren hain ya logon ki sansen hain yahan

dekhna ye bastiyan ab ban na jaen aag ki

jism to kab ka jala ab ruh tak jati hai aanch

chal rahi hain tez kaisi ye hawaen aag ki

uD raha hai ek bagula aag barsata hua

khetiyan sab nazr logo ho na jaen aag ki

(752) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lamha Lamha Kah Rahi Hain Kuchh Fazaen Aag Ki In English By Famous Poet Ahmad Hamdani. Lamha Lamha Kah Rahi Hain Kuchh Fazaen Aag Ki is written by Ahmad Hamdani. Read famous Poem Lamha Lamha Kah Rahi Hain Kuchh Fazaen Aag Ki for youth and Student by Ahmad Hamdani. Free Download Lamha Lamha Kah Rahi Hain Kuchh Fazaen Aag Ki in PDF.