Munh Andhere Ghar Se Nikle Phir The Hangame Bahut

munh andhere ghar se nikle phir the hangame bahut

din Dhala tanha hue aur raat bhar pighle bahut

ranj ke andhe kuen mein raat ab kaise kaTe

dekhne ko din mein dekhe chand se chehre bahut

phir bhi hum ek dusre se bad-guman kya kya rahe

jhuT hum ne bhi na bola tum bhi the sachche bahut

tha irada un ke ghar se bach ke hum niklen magar

har qadam par un ke ghar ke raste aae bahut

in dinon rahte hain logon se hamein kya kya gile

aur lagte bhi hain hum ko log sab achchhe bahut

peD apne dasht mein ab hum laga kar kya karen

dhup ne phaila diye hain dur tak sae bahut

(715) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Munh Andhere Ghar Se Nikle Phir The Hangame Bahut In English By Famous Poet Ahmad Hamdani. Munh Andhere Ghar Se Nikle Phir The Hangame Bahut is written by Ahmad Hamdani. Read famous Poem Munh Andhere Ghar Se Nikle Phir The Hangame Bahut for youth and Student by Ahmad Hamdani. Free Download Munh Andhere Ghar Se Nikle Phir The Hangame Bahut in PDF.