Muztarib Hain Waqt Ke Zarraat Suraj Se Kaho

muztarib hain waqt ke zarraat suraj se kaho

aa gai kyun aag ki barsat suraj se kaho

hum hain aur shoalon ki lapTen baDh rahi hain har taraf

kya hui wo chhanw ki ek baat suraj se kaho

nachte hain ye bhayanak sae aaKHir kis liye

zer-e-lab kya kah rahi hai raat suraj se kaho

ek tapta dasht hai aur sath koi bhi nahin

kis safar mein hai akeli zat suraj se kaho

rengte hain nag andeshon ke sanson mein yahan

Dhalne mein aati nahin hai raat suraj se kaho

zoam hone ka raha ek umr hum ko aur aaj

jal gae sab dhup mein jazbaat suraj se kaho

(736) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Muztarib Hain Waqt Ke Zarraat Suraj Se Kaho In English By Famous Poet Ahmad Hamdani. Muztarib Hain Waqt Ke Zarraat Suraj Se Kaho is written by Ahmad Hamdani. Read famous Poem Muztarib Hain Waqt Ke Zarraat Suraj Se Kaho for youth and Student by Ahmad Hamdani. Free Download Muztarib Hain Waqt Ke Zarraat Suraj Se Kaho in PDF.