Jab Se Main KHud Ko Kho Raha Hun

jab se main KHud ko kho raha hun

karwaT badal ke so raha hun

ye jagna aur sona kya hai

aankhon mein jahan samo raha hun

duniya se ulajh ke sar par shayad

apni hi bala ko Dho raha hun

ye lag aur lagaw kya hai

apna wajud hi Dubo raha hun

ab tak jo zindagi hai guzri

kanTe nafas mein bo raha hun

hai kuchh to apni parda-dari

na jagta hun na so raha hun

itna hai khoT mere man mein

pani mein dudh bilo raha hun

ai dil-figar be-sabaat hasti

teri hi jaan ko ro raha hun

jitni hai dur maut mujh se

itna hi qarib ho raha hun

shiraaza yun bikhar raha hai

KHud mein tabah ho raha hun

kis raste par ja rahi hai duniya

ye dekh ke hi to ro raha hun

jaane 'hamesh' KHud ko kab se

be-wajh lahu mein Dubo raha hun

(948) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Se Main KHud Ko Kho Raha Hun In English By Famous Poet Ahmad Hamesh. Jab Se Main KHud Ko Kho Raha Hun is written by Ahmad Hamesh. Read famous Poem Jab Se Main KHud Ko Kho Raha Hun for youth and Student by Ahmad Hamesh. Free Download Jab Se Main KHud Ko Kho Raha Hun in PDF.