Jahan Se Hota Hai Pyare KHuda Ka Nam Shurua

jahan se hota hai pyare KHuda ka nam shurua

wahin se karte hum zindagi ka kaam shurua

ye kaisi rah-e-safar hai ye kaisa aalam hai

ki panw rakkhen jahan bhi wahin maqam shurua

jahan pe hota hai dil pe nuzul-e-bar-e-azab

wahin se hota hai duniya ka ye nizam shurua

na socho waqt bahut kam hai zindagi kam hai

jo ho sake to karo gardish-e-mudam shurua

sukut o shor ke mabain koi hai maujud

jahan ho KHatm samaat wahin kalam shurua

baDi ajib hai ye dastan-e-ishq 'hamesh'

sawera hone se pahle ho goya sham shurua

(809) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jahan Se Hota Hai Pyare KHuda Ka Nam Shurua In English By Famous Poet Ahmad Hamesh. Jahan Se Hota Hai Pyare KHuda Ka Nam Shurua is written by Ahmad Hamesh. Read famous Poem Jahan Se Hota Hai Pyare KHuda Ka Nam Shurua for youth and Student by Ahmad Hamesh. Free Download Jahan Se Hota Hai Pyare KHuda Ka Nam Shurua in PDF.