Kabhi Tumne Kuchh To Diya Nahin Kabhi Humne Kuchh To Liya Nahin

kabhi tum ne kuchh to diya nahin kabhi hum ne kuchh to liya nahin

hamein zindagi se ho bahs kya koi waqia to hua nahin

magar aisi koi KHalish bhi thi jo faqat hamara nasib thi

ki jo rog hum ne laga liya kisi aur ko to laga nahin

zara dekhna ki wo kaun hai pas-e-ramz-e-wahshat-e-ashiqi

bhala kis ne hum ko shikast di kabhi pahle aisa hua nahin

jise pas aana tha aa gaya aur nafas ke tar bhi juD gae

ki talab ki thin yahi manzilen koi fasla to raha nahin

baDi wusaten hain zamin par hamein aur chahiye kya magar

wo jo husn us ki nazar mein hai koi us se baDh kar mila nahin

wo jo mil chuki hain aziyyaten chalo man len ki bahut hua

magar ab mila hai jo hausla kisi aur ko to mila nahin

(768) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Tumne Kuchh To Diya Nahin Kabhi Humne Kuchh To Liya Nahin In English By Famous Poet Ahmad Hamesh. Kabhi Tumne Kuchh To Diya Nahin Kabhi Humne Kuchh To Liya Nahin is written by Ahmad Hamesh. Read famous Poem Kabhi Tumne Kuchh To Diya Nahin Kabhi Humne Kuchh To Liya Nahin for youth and Student by Ahmad Hamesh. Free Download Kabhi Tumne Kuchh To Diya Nahin Kabhi Humne Kuchh To Liya Nahin in PDF.