Parchhain Ka Safar

ye sach hai ki hathon mein tirshul thame

biragi tumhin the

khule aasman ko tumhin tak rahe the

hazaron baras tak tumhin dewtaon ne kuchh na diya us jazire se tum lauT aae

usi dam purane samundar ke kone mein monge chaTanen banate hue thak gae the

unhen machhliyan kha gai thin

anekon banon apunon se guzarti hui dauDti sansanahaT unhen DhunDne ja rahi thi

zamin ek chakkar laga ke ruki thi

ki tum lauT aae

aur phir bhik mangi hui sipiyon sard ghonghon se tum ne kai sar-phire but banae

magar ab kahan ho

sirishTi kahan hai!

yahan ek kamre mein bijli ke kale plug ki chamakti lakiron se do jhankte gol suraKH

aur tak mein gupt baiThi hui maut ki bhuk, lalach, hawa mein sulagti hui sukhti tirishna

kaun hai raushni nahin pip ke Dher mein ek luthDi hui Dubti khopaDi

do nishan malgaje ek ubla kahani ke pichhe bhaTakte hue sard sune safar ki bikasti bansi

kaun soche gulab aur huhi ke phulon ki mahkar raste se haT ke purani hui bujh gai

ek zamana kinare ki ghaTnaon ka sath deta barkachhon se girti hui pattiyon ko sameTe

bahaw se Darte hue aaKHiri jal mein bahta chala ja raha hai

suno aaKHiri jal tumhaara nahin hai kisi ka nahin hai!

dishaon ke bahrup, ab haarte, hanpte, TuTte ja rahe hain

inhen itna murda samajh lo ki dekhe bina chal paDo aur chalte raho

jinhen tum kahin bhul se waqt ke moD par chhoD aae

wo ab ja chuke hain

unhen mat bulao

yahan ek kamre ki khiDki mein baiThe hue sochte ho ki aankhen tumhaari hain rachna tumhaari

udhar muD ke dekho banae hue an-ginat rang

shabdon ke sanchon mein Dhaali hui apsaraen nae farsh par Dagmagati hui gir paDi hain

sawere ki nilahaTen gandagi mein lapeTi hui chhanw mein unghti hain

faqat makkhiyan uD rahi hain

(899) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Parchhain Ka Safar In English By Famous Poet Ahmad Hamesh. Parchhain Ka Safar is written by Ahmad Hamesh. Read famous Poem Parchhain Ka Safar for youth and Student by Ahmad Hamesh. Free Download Parchhain Ka Safar in PDF.