Raste Mein Sham Ka Muqaddar Hona

us ke lahje mein sham ho rahi thi

aur raste raston ko chhoDte hue

kisi aur raste par ja rahe the

us ka badan KHud se alag hone ke liye

apne hi badan se puchh raha tha

kunware rahne ki tapasya akarat gai

kisi chahne wale ko

us ne ek bosa bhi nahin diya

us ki miTTi ne kisi aur miTTi ko chhua hi nahin

shariat ki aamariyyat ko

KHud us ne hi dawat di thi

warna KHuda se kisi ghalat ko

ghalat chhune ki baat to kabhi hui hi nahin thi

aur koi hum se bhul ke

hamari aaKHiri KHwahish bhi na puchhe

aisa to kabhi hua hi nahin

Dubte hue jahaz mein bhagne wale

aaKHiri chuhe ko bhi to

kisi ne bhi nahin dekha

siwae us ke ki

Dubone wale pani ne

KHud ko dekha

ya Dubne wale ko dekha

mohabbat jin rangon se

bani hui kahani thi

us ke kisi bhi kirdar ko

is ne kabhi bhule se bhi pas na aane diya

ek ThanDi jamid bisat par dauDti hui

mayusi ko

parinda banne ki KHwahish to zarur rahi hogi

magar kya koi ye dekh sakta hai ki

kisi botal se kag arne ke manzar mein

botal ke baatin par kya guzarti hai

kisi ghalat munh se nikle hue lafz se

zindagi ki aab-o-hawa par kya guzarti hai

duniya mein hone wale kisi bhi zulm ne

bas misal hi to qaem ki

ek tariKH hi to banai

hath mein uThae hue ek patthar se

an-ginat hathiyaron tak

darmiyan mein

zamane to an-ginat rahe honge

ya tariKH to ek hi thi

kisi ghalat ko sahi mein badalne ki KHwahish

duniya ka nizam badal sakti to

aaj tak hum ghalat KHwab

na dekh rahe hote

phir ye azab kya hai ki

hum ek puri zindagi

ghalat KHwabon ke hawale karte hue

KHud KHwab ho jaen

ye aur baat ki

pur-asrar ghaib mein

yaqin na rakhne wale ko bhi

kisi bhi ghaib se

kuchh pane ya madad lene ki

KHwahish to hoti hai

aur KHwahish ka kya hai

KHwahish agar zamin par rengne wali

chyunTi bhi ho to

wo hathi ko halak kar sakti hai

ek chyunTi hathi ko

is liye halak kar deti hai ki

use is ke sar tak

pahanne ki rah ka gyan

aadmi se kahin zyaada hota hai

afsos ki chyunTi se zyaada

gyan wala aadmi to

zamin par paida hi nahin hua

afsos pahaD ki chaDhai chaDhne

aur unchi choTiyon ko

sar karne walon mein se

koi ek bhi aisa nahin hua

jo pahle zindagi nam ke hathi ke sarki

chaDhai chaDhta ya is ke sar ko

sar kar chuka hota

aadmi ne ghar banaya

is mein rahne ke liye

magar wo us mein kabhi raha is liye nahin ki

ru-e-zamin par

kisi bhi ghar ka baatin nahin ban saka

ek puri duniya ka zahir to

hamari nazar mein rakh diya gaya

magar baatin se bani hui

koi duniya to bani hi nahin

to hum kya dekhte

ya dikhane walon se hum kya kahte

ya is se kya kahte

jis ke lahje mein sham hone se pahle

din ki raushni ki

koi bisat to rahi hogi

palaT ke kuchh dekhne ki ada bhi

nahin malum thi

warna koi kah sakta hai ki

use asbab se bhari hui duniya se

kuchh mayassar aaya

nahin kuchh bhi to nahin

ya jo duniya

asbab se bhari hui dikhai gai

wo KHud apni jagah thi bhi ya nahin

aur is ki koi bhi shai

apni jagah thi bhi ya nahin

(1618) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raste Mein Sham Ka Muqaddar Hona In English By Famous Poet Ahmad Hamesh. Raste Mein Sham Ka Muqaddar Hona is written by Ahmad Hamesh. Read famous Poem Raste Mein Sham Ka Muqaddar Hona for youth and Student by Ahmad Hamesh. Free Download Raste Mein Sham Ka Muqaddar Hona in PDF.