Rehan-siddiqi Ki Yaad Mein

jaane kitne hi raaten hongi

jaane kitne hi din honge

jo tumhaari bedari aur nind mein

chae ki pyaliyon mein

aur mohabbat karne walon ke dilon mein zinda hain

main tumhaari aawaz to ab bhi sun raha hun

kai dinon se mera phone jo band raha

wo ab meri ruh mein khul gaya hai

aur hamari ruhon ke darmiyan koi fasla nahin

kaun kahta hai ki tumhein duniya pasand nahin aai

to tum ne duniya chhoD di

abhi to tashkil ke kai safhat ki tartib baqi hai

abhi to tumhein bahuton ke zamir par paDe hue

parde uThane hain

abhi to shiba owen mein jo cake tayyar kar rahi hai

use khana baqi hai

abhi to injala tum se meri jo shikayat karne wali hai

ki main ne ye nahin kiya

main ne wo nahin kiya

goya tumhaare mashwaron par

nae sire se kan dharna hai

abhi to kai kaam baqi hain

bhabhi ko banarsi siwaiyan tayyar karni hain

abhi to tasir tausif aur शरजील

tumhaari aawaz sunne ke muntazir hain

abhi to mahbub-'KHizan' tumhein abad-ul-abaad ke liye

cigarette chhoDne ka mashwara dene wale hain

main tumhaari aawaz to ab bhi sun raha hun

bagh-o-bahaar aadmi to kabhi nahin marta

tumhaari bagh-o-bahaar aawaz to main ab bhi sun raha hun

(824) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rehan-siddiqi Ki Yaad Mein In English By Famous Poet Ahmad Hamesh. Rehan-siddiqi Ki Yaad Mein is written by Ahmad Hamesh. Read famous Poem Rehan-siddiqi Ki Yaad Mein for youth and Student by Ahmad Hamesh. Free Download Rehan-siddiqi Ki Yaad Mein in PDF.