Safar Aisa Hai Kahan Ka

jis jahan mein meri aawaz ne mujhe chhoDa tha

wo ab meri samaat se pare hai

mujhe kuchh sunai nahin deta

mushkil ye hai ki aadmi bahut kuchh sun sakta na dekh sakta hai

phir bhi shayad kuchh aisa hota hai ki

kisi bhi marne wale aadmi ki

aankhon ki kagar par jab us ki

jaan Thahar jati hai

tu us ke nam ka parinda

use achanak uDa le jata hai

ye maut hoti hai

siwae is ke ki marne wala use dekh nahin sakta

mujhe yaad nahin

ki main ne kis se mohabbat ki

aur kis se nafrat ki

siwae is ke ki main ne wo sare gunah kiye

jo mujhe is liye yaad hain

ki ek umr tak unhen

mujh mein rachaya basaya aur khilaya pilaya gaya

mujhe yaad hai

ki main ne koi aisi ghiza nahin khai

jo meri ruh mein utar jati

mujhe yaad hai

ki main ne koi aisa libas nahin pahna

jo mere baatin mein utar jata

main zindagi bhar bhuka raha

aur nanga raha

yahan tak ki mere pas

rah-e-haq mein kuchh dene ke liye bhi nahin

na koi neki na koi burai

(909) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Safar Aisa Hai Kahan Ka In English By Famous Poet Ahmad Hamesh. Safar Aisa Hai Kahan Ka is written by Ahmad Hamesh. Read famous Poem Safar Aisa Hai Kahan Ka for youth and Student by Ahmad Hamesh. Free Download Safar Aisa Hai Kahan Ka in PDF.